ANGHUTHI W ZEWAR KI SUNNATEIN W AADAAB
(1)HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM CHAANDI ki ANGUNTHI PAHNAA karte the US par AAPKA NAAM MUBARAK KHUDAA HUAA tha [ADABE SUNNAT]. (2)SONE{GOLD}ka PAHNANA SINGAAR ka SABAB aur RAUNAK hai isliye ISLAAM mein MARDON ke liye HARAAM hai [ADABE SUNNAT] (3)AURATON ke liye KISI HAD TAK ZEWAR ka ISTEMAAL DURUST hai magar aisa ZEWAR jisase JHANKAR PAIDAA HOTI ho mana hai. [ADABE SUNNAT] (4)HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne SONE KE ZEWARAAT ki bajaaye CHAANDI ke ZEWRAAT ISTEMAAL karane ki TAALIM DI HAI. [ADABE SUNNAT] (5)MARDON ke liye CHAANDI ki ANGUNDHI PAHNANA JAAIZ hai jiska WAZAN EK-MISKAAL se kam hai MISKAAL GRAAM ke baraabar hai. [ADABE SUNNAT]