Etikaaf Ki Tareef ……
Etikaaf Ki Tareef …… Ibadat Ki Niyat Se Allah Ke Liye Masjid Me Thehrne Ka Naam ‘Etkaf’ Hai. Etekaf Ki 3 Kisme: (1)Etkaf-e-Wajib. (2)Etkaf-e-Sunnat. (3)Etkaf-e-Mustahab. » Ramzan me Etkaf : Ramzan Ke 21 We Roze Se Shawwal Ka Chand Dikhne Tak Allah Ke Lye Masjid Me Thaherna Etekaf Kehlata Hai. » Etkaf: Masjid Ke Andar Dakhil Ho Toh Etekaf Ki Niyat Kare Jitni Der tak Masjid Me Rahega Etkaf Ka Sawab Payega. - (Fatawa-e-Aalmgiri, Jild:1 Safa:197). Etkaf Ki Niyat: Nawaytu Sunnatul Etkaf. » Jis Shaks Ne Imaan Ke Sath Sawab Hasil Karne Ki Niyyat Se Etkaf Kiya Uske Pichle Gunah Baksh Diye Jayenge. - (Jame Sageer) » Hadees : Huzoor (Sallallahu Alaiyhi Wasallam) Ne Farmaya: “Itekaaf Karnewala Gunaho Se Mahfooz Ho Jata Hai”. - (Mishkaat-Ul-Masabeeh-Zujajat Ul Masabeeh) » Mas’ala : Etekaf Wala Agar Bagair Uzr Ke Masjid Se Nikla Agarche Bhool Se Nikle To Etekaf Toot Gaya. » Mas’ala : Etekaf Wala Masjid Me Hi Khaye Piye Soye Agar In Kaamo Ke Liye Bahar Gaya To Etekaf Toot Gaya.