KHAANE PEENE KE ADAAB W SUNNAT
HADEES NO.1:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ki jis KHAANE par BISMILLAH NAA PADHI JAAYE SHAITAAN ke liye wah KHAANA HALAAL ho jaata hai yaani BISMILLAH NAA PADHANE ki SURAT mein SHAITAAN us KHAANE mein SHARIK ho jaata hai.
[MUSLIM, ADAABE SUNNAT]
HADEES NO.2:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA jab koi shakhs MAKAAN mein AAYA aur DAAKHIL HOTE WAQT aur KHAATE WAQT usane BISMILAAH PADH li to SHAITAAN apani AULAAD se KAHTA hai ki is GHAR mein NAA TUMHE RAHNAA MILEGAA NAA KHAANA agar daakhil hote WAQT BISMILLAH NAA PADHI to kahtaa hai ab TUMHE RAHANE ki JAGAH MIL GAYI aur KHAANE ke WAQT bhi BISMILLAH NAA PADHI to kahtaa hai ab TUMHE RAHANE ki jagah BHI MILI aur KHANAA bhi MILAA.
[MUSLIM,ADAABE SUNNAT]
HADEES NO.3:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA jab koi shakhs KHAANA KHAAYE to ALLAH ka NAAM ZIKR KARE YAANI BISMILLAH PADHE aur agar SHURU mein BISMILLAH PADHNAA BHUL JAAYE to yun kahe BISMILLAHI AWWALUHU W AAKHIRUHU.
[ABU DAWOOD,ADAABE SUNNAT]
HADEES NO.4:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ki IKATTHE hokar KHAANA KHAAO aur BISMILLAH PADHON TUMHAARE LIYE USAMEIN BARKAT HOGI.
[ABU DAWOOD,ADAABE SUNNAT]
HADEES NO.5:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ki logon ne ARZ ki YAA RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM HAM KHAATE hain aur PET NAHIN BHARATA IRSHAAD FARMAYAA ki TUM SHAYAAD alag alag KHAATE HOGE ARZ ki HAAN FARMAAYAA IKATTHE HOKAR KHAAO aur BISMILLAH PADHON isame BARKAT hogi.
[ABU DAWOOD,ADAABE SUNNAT]