MISWAAK KI FAZILAT
(1)HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM jab NAMAZ
TAHAJJUD ke liye KHADE hote to PAHALE APANE
MOONH ko MISWAAK se SAAPH karte the
[MUSLIM]
(2)HUZUR ALAIHIS SALAAM ne FARMAYA KI MISWAAK
MOONH ki PAAKIZAGI aur ALLAH TALA ki RAZAMANDI
ka sabab hai.[NASAI SHARIF]
(3)HUZUR ne FARMAYA ki 3-cheeze RASOOLON
ki SUNNATON me se hai
1)JALDI IFTAAR KARNA (2)SAHARI KHAANE ME
DERI KARNA (3)MISWAAK KARNA hai
(4)AGAR MUJHE APANI UMMAT ki MUSHKIL
ka KHAYAAL NAA hota to main HAR
NAMAZ mein MISWAAK karane ko kahta.
[BUKHARI SHARIF]
(5)HUZUR SALLALAHU ALAIHI wa SALLAM GHAR mein
AANE par sabse pahale MISWAAK hi kiya karte
the.[ADABE SUNNAT]
(6)HUZUR SALLALAHU ALAIHI wa SALLAM jab bhi RAT
YA DIN mein SOKAR BEDAR hote to pahale apane
MOONH ko MISWAAK se
SAAF karate the.[ADABE SUNNAT]
(7)JIS NAMAAZ ke liye MISWAAK ki jaati
hai wah us NAMAAZ se 70-DARZA ZYADA
AFZAL hai jisake liye MISWAAK NAA
ki gayi ho.[BAIHIQI]SDI
(8)MAIN MISWAAK ITANI kasrat se karta hu
ki mujhe ye DAR hai ki MISWAAK ki
ZYADATI se kahin MERA MOOHN NA CHHIL
JAAYE.[ADABE SUNNAT]SDI
(9)HUZUR ALAIHIS SALAM ne FARMAYA jab bhi
JIBRAEEL MERE PAAS aaye to UNHONE mujhe
MISWAAK karane ko kaha.
[ADAABE SUNNAT]