MAREEZ KE ILAAJ KA BYAAN



HADEES NO.1:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA HAR BIMAARI ke liye DAWAA hai JAB BIMAARI ko DAWAA PAHUNCH JAAYEGI ALLAH ke HUQM se ACHHA ho jaayega.
[MUSLIM SHARIF,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.2:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ALLAH TAALA ne KOI BIMAARI nahi UTAARI MAGAR usake liye SHIFAA BHI UTAARI hai.
[BUKHARI SHARIF,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.3:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ne FARMAAYA BIMAARI aur DAWAA DONO ko ALLAH TAALA ne UTAARA usane HAR BIMAARI ke liye DAWAA MUQARRAR ki BAS TUM DAWAA karo magar HARAAM se DAWAA MAT karon.
[ABU DAWOOD,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.4:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA MAREEZON ko KHAANE par MAZBOOR NAA KARO ki unko ALLAH TAALA KHILAATA PILAATA hai.
[TIRMIZI,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.5:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne NAZARE BAD se JHAAD PHOONK {DUAA,JAAIZ TAAVIZ} KARAANE ka hukm farmaaya.
[BUKHARI,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.6:-HAZRAT UMME SALMA RADIYALLAHU TALA ANHA se RIVAYAT hai ki unke GHAR mein ek LADAKI thi jisake CHEHARE mein ZARDI thi RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ise JHAAD PHOONK {DUAA,JAAIZ TAAVIZ} KARAAO kyunki ise NAZAR LAG gayi hai.[BUKHARI,MUSLIM,ADAABE SUNNAT]

HADEES NO.7:-AUF IBNE MAALIK ASHJAI RADIYALLAHU TALA ANHU se RIVAYAT hai kahte hai ham JAAHILIYAT mein JHAADA karte the HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ki KHIDMAT mein ARZ KI YAA RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM HUZUR ka is MUTTALIK KYAA IRSHAAD hai ? FRAMAAYA ki MERE SAAMANE PESH KARON JHAAD PHOONK {DUAA,JAAIZ TAAVIZ} mein HARZ NAHIN jab tak usamein SHIRK NAA ho.
[MUSLIM ADAABE SUNNAT]

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY