Posts

Showing posts from July 7, 2013

Jhoote aur Dagabajo Ka Bhi Roza Kabool Nahi

Image
Jhoote aur Dagabajo Ka Bhi Roza Kabool Nahi …. » Hadees : Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya, “Agar Koi Shaksh Roza Rakh Kar Bhi Jhoot Bolna aur Dagabaji Karna Na Chore Toh Allah Ta’ala Ko Uski Koi Zarurat Nahi Ki Wo Apna Khana Peena Chor De”. - (Sahih Bukhari Vol 3, 1903) » Note : Allah Taala Unka Roza Hargiz Pasand Nahi Karta Jo Roze Ki Behurmati Wale Kaam Kare. Jhut, Dagabaji, Zina, Chori, Chughalkhori, Yeh Sab Roze Ki Behurmati Waale Kaam Hai Lihaza In Khaslato Se Apne Rozo Ki Hifazat Kare Aur Auron Ko Bhi Aagah Kare.

MAAHE RAMZAN KI FAZILAT...

Image
Roza Dozakh Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai … Hadees : Aaqa Sarvare-Do-Aalam Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Roza Dozakh (Hell) Se Bachnee Ke Liye Ek Dhaal Hai Isliye (Jo Rozedar Ho) Wo Na Toh Biwi Se Humbistari Kare Aur Na Fahash (Buri) Aur Jahalat Ki Batein Kare Aur Agar Koi Shaksh Uss Se Ladey Ya Usey Gaali De Toh Uske Jawab Me Sirf Ye Kehna Chaahiye Ki Mai Rozedar Hun, Do (2) Baar (Kahe). Uss Zaat Ki Kasam Jiskey Haath Me Meri Jaan Hai Rozedar Ke Munh Ki Bu Allah Ke Nazdeek Mushk Ki Khushbu Se Bhi Zyada Pasandeeda Aur Pakeeza Hai. (Allah Farmata Hai) Banda Apna Khana Peena Aur Apni Shahwat Meri Liye Chorrta Hai, Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Iska Badla Dunga Aur Nekiyon Ka Sawab Bhi Asal Neki Ke 10 Gunaa Hota Hai” (Dusri Hadeeso Me 70 Guna Bhi Aya Hai). -: (Sahih Bukhari, Vol 3, 1894) » Sabak : Roze Ki Fazilat Beshumar Hai, Lihaja Tamam Imanwalo Par Lazim Hai ke Wo Buri Aadato Se Apne Rozo Ki Hifazat Kare, Aur Rabbe Ta’ala Ki Khushnudi Ke Saath Ramzan-Ul-Mub

Roza Dozakh Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai

Image
Roza Dozakh Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai … » Hadees : Aaqa Sarvare-Do-Aalam Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Roza Dozakh (Hell) Se Bachnee Ke Liye Ek Dhaal Hai Isliye (Jo Rozedar Ho) Wo Na Toh Biwi Se Humbistari Kare Aur Na Fahash (Buri) Aur Jahalat Ki Batein Kare Aur Agar Koi Shaksh Uss Se Ladey Ya Usey Gaali De Toh Uske Jawab Me Sirf Ye Kehna Chaahiye Ki Mai Rozedar Hun, Do (2) Baar (Kahe). Uss Zaat Ki Kasam Jiskey Haath Me Meri Jaan Hai Rozedar Ke Munh Ki Bu Allah Ke Nazdeek Mushk Ki Khushbu Se Bhi Zyada Pasandeeda Aur Pakeeza Hai. (Allah Farmata Hai) Banda Apna Khana Peena Aur Apni Shahwat Meri Liye Chorrta Hai, Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Iska Badla Dunga Aur Nekiyon Ka Sawab Bhi Asal Neki Ke 10 Gunaa Hota Hai” (Dusri Hadeeso Me 70 Guna Bhi Aya Hai). -: (Sahih Bukhari, Vol 3, 1894) » Sabak : Roze Ki Fazilat Beshumar Hai, Lihaja Tamam Imanwalo Par Lazim Hai ke Wo Buri Aadato Se Apne Rozo Ki Hifazat Kare, Aur Rabbe Ta’ala Ki Khushnudi Ke Saath Ramza