Posts

Showing posts from April 18, 2010

KHAANE PEENE KE ADAAB W SUNNAT

Image
HADEES NO.1:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ki jis KHAANE par BISMILLAH NAA PADHI JAAYE SHAITAAN ke liye wah KHAANA HALAAL ho jaata hai yaani BISMILLAH NAA PADHANE ki SURAT mein SHAITAAN us KHAANE mein SHARIK ho jaata hai. [MUSLIM, ADAABE SUNNAT] HADEES NO.2:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA jab koi shakhs MAKAAN mein AAYA aur DAAKHIL HOTE WAQT aur KHAATE WAQT usane BISMILAAH PADH li to SHAITAAN apani AULAAD se KAHTA hai ki is GHAR mein NAA TUMHE RAHNAA MILEGAA NAA KHAANA agar daakhil hote WAQT BISMILLAH NAA PADHI to kahtaa hai ab TUMHE RAHANE ki JAGAH MIL GAYI aur KHAANE ke WAQT bhi BISMILLAH NAA PADHI to kahtaa hai ab TUMHE RAHANE ki jagah BHI MILI aur KHANAA bhi MILAA. [MUSLIM,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.3:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA jab koi shakhs KHAANA KHAAYE to ALLAH ka NAAM ZIKR KARE YAANI BISMILLAH PADHE aur agar SHURU mein BISMILLAH PADHNAA BHUL JAAYE to yun kahe BISMILLAHI AWWALUHU W AAKHIRUHU. [ABU DAWOOD,ADAABE SUN

JUMAA KA BYAAN

Image
HADEES NO.1:-HAZRATE SALMAAN RADIYALLAHU TAALA ANHU ne kaha ki SARKAARE AQDAS SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ki jo SHAKHS JUMAA ke din nahaaye aur jis qader HO SAKE PAAKI W SAPHAAI kare aur TEL LAGAAYE YA KHUSHBOO MALE jo GHAR mein MAYASSAR AAYE PHIR GHAR se NAMMAZ ke liye NIKALE aur DO AADMIYON ke DARMIYAAN {apane baithane yaa aage guzarane ke liye} JAGAH NAA BANAAYE-PHIR NAMAAZ PADHEN jo MUQARRAR kar di gayi hai-PHIR JAB IMAAM KHUTBAA PADHE to CHUPCHAAP BAITHAA rahe to usake wah sab GUNAAH jo ek JUMAA se dusare JUMAA tak usane kiye hai M'AAPH kar diye jaayenge. [BUKHAARI,ANWARUL HADEES] MAS'AALA NO.1:-KUHTBAA PADHANE WAALE ke SAAMANE JO AZAAN hoti hai MUQATADIYON ko uska jawaab hargiz naa dena chahiye. [PHATAAWA RAZVIYA,ANWARUL HADEES] MAS'AALA NO.2:-KHUTBAA mein HUZUR AQDAS SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM ka NAAMEIN PAAK sun kar AANGUTHA NAA CHUME YAH SIRF KHUTBAA ke liye hai. [PHATAAWA RAZVIYA,ANWARUL HADEES] MAS'AALA NO.3:-ARABI ke ILAAWA kisi ZUBAAN mein KHUT

MAREEZ KE MASAA'IL

Image
HADEES NO.1:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ki jab SUNO ki FALAAN jagah TAOON hai to wahaan NAA JAAO aur jab wahaan ho jaaye jahaan TUM HO TO WAHAAN se NAA nikalo. [BUKHARI,MUSLIM,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.2:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA TAOON AZZAB ki NISHAANI hai ALLAH TAALA ne APANE BANDON mein se kuch logon ko ISAME MUBTILA kiya jab suno ki kahin hai to wahaan NAA JAAO aur jab wahaan ho jaaye jahaan TUM HO TO bhaago mat. [MUSLIM,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.3:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA TAOON HAR MUSLIM ke liye SHAHAADAT hai. [BUKHARI,MUSLIM,AHMED,ADAABE SUNNAT] MASAA'LA NO.1:-MAREEZ ki EYAADAT karnaa SUNNAT hai AGAR MAALUM HO TO EYAADAT ko jaayega to us BIMAAR par GIRAAN GUZEREGAA aisi HAALAT mein EYAADAT NAA kare. [BAHARE SHARIYAT] MASAA'LA NO.2:-EYAADAT ko JAAYE AUR marz KI sakhti dekhe to MAREEZ ke SAAMANE YE ZAAHIR NAA kare ki TUMHAARI HAALAT KHRAAB hai aur NAA SAR HILAAYE jisase HAALAT ka KHARAAB honaa samjh

MAREEZ KE ILAAJ KA BYAAN

Image
HADEES NO.1:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA HAR BIMAARI ke liye DAWAA hai JAB BIMAARI ko DAWAA PAHUNCH JAAYEGI ALLAH ke HUQM se ACHHA ho jaayega. [MUSLIM SHARIF,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.2:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ALLAH TAALA ne KOI BIMAARI nahi UTAARI MAGAR usake liye SHIFAA BHI UTAARI hai. [BUKHARI SHARIF,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.3:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA ne FARMAAYA BIMAARI aur DAWAA DONO ko ALLAH TAALA ne UTAARA usane HAR BIMAARI ke liye DAWAA MUQARRAR ki BAS TUM DAWAA karo magar HARAAM se DAWAA MAT karon. [ABU DAWOOD,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.4:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA MAREEZON ko KHAANE par MAZBOOR NAA KARO ki unko ALLAH TAALA KHILAATA PILAATA hai. [TIRMIZI,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.5:-RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne NAZARE BAD se JHAAD PHOONK {DUAA,JAAIZ TAAVIZ} KARAANE ka hukm farmaaya. [BUKHARI,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.6:-HAZRAT UMME SALMA RADIYALLAHU TALA ANHA se RIVA

MAREEZ KI EYAADAT KA BYAAN

Image
NOTE:MAREEZ ki EYAADAT ko jaanaa SUNNAT hai. HADEES NO.1:-HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI WASALLAM FARMAATE hai ki MUSALMAAN par MUSALMAAN ke PAANCH HAQ hai. 1.SALAM KA JAWAAB DENA. 2.MAREEZ ki EYAADAT ko jaana. 3.JANAAZE KE SAATH JAANA. 4.DAAWAT QUBOOL KARNA. 5.CHHIKANE WAALE ka JAWAAB DENAA. [BUKHARI,MUSLIM,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.2:- HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI WASALLAM FARMAATE hai ki JAB MUSALMAAN apane MUSALMAAN BHAI ki EYAADAT ko gayaa to waapas hone tak HAMESHAA JANNAT ke PHAL CHUNANE mein raha. [BUKHARI,MUSLIM,ADAABE SUNNAT] HADEES NO.3:-HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI WASALLAM FARMAATE hai ki PAANCH CHEEZE jo EK-DEEN mein karega ALLAH TAALA usko JANNATIYON mein LIKH DEGA. 1.MAREEZ ki EYAADAT KARE. 2.JANAAZE main HAZZER ho. 3.ROZAA RAKHE. 4.JUME ko JAAYE. 5.GULAAM AAZAAD kare. HADEES NO.4:-HUZURE AQDAS SALLALAHU ALAIHI WASALLAM FARMAATE hai ki JAB TOO MAREEZ ke paas jaaye to usase kah ki TERE LIYE DUAA kare ki usaki DUAA MALAAIKA ki tarah hai. [IBNE MAAJAH,ADAABE SUNNAT] HADEES

AADABE MASJID W QIBLA

Image
{1}JAB MASJID mein DAAKHIL ho to SALAAM kare BASHARTEIN ki LOG WAHAN MAUJUD hai ZIKR DARS mein MASHGOOL NAA ho. {2}WAQTE MAKROOH NAA ho to 2-RAKAAT TAHIYYATUL MASJID ADAA karen. {3}MASJID mein KHARID wa PHROKHT NAA KAREIN. {4}NANGI TALWAAR MASJID mein NAA LE JAAYE. {5}GUMI HUE CHEEZ MASJID mein NAA DHOONDHE. {6}ZIKR ke SIWAA AAWAAZ BULAND NAA karen. {7}DUNIYAA ki BAATEIN NAA karein. {8}LOGON kee GARDANE NAA PHALAAGIEN. {9}JAGAH ke MUTALLIK kisi se JHAGADAA NAA karein. {10}IS TARAH NAA BAITHE ki DUSARON ke liye JAGAH mein TANGI ho. {11}NAMAAZI ke AAGE se NAA GUZAREIN. {12}MASJID mein THOOK KHAKHAAR NAA DAALEIN. {13}UNGALIYAA NAA CHATKAAYEN. {14}NAJAASAT aur BACHHON aur PAAGALON se MASJID ko BACHAAYEN. {15}ZIKRE ILAAHI ki KASRAT karein. [ALAMGIRI,BAHARE SHARIYAT-HISSA-16,ADAABE SUNNAT] MASAA'IL-1:JISAKE BADAN YA KAPADEN par NIJAASAT LAGI ho wah MASJID mein NAA JAAYE [ALAMGIRI] MASAA'IL-2:MASJID ke SAAIL ko DENAA MANAA hai.MASJID mein DUNIYAA ke BAATEIN karni MAKROOH hai.MASJID me

DAILY DARS SDI

Image
{1}HADEES SHARIF: HARAAM CHEEZO se BACHO TUM sabse BADE IBAADAT GUZAAR ban jaaoge [TIMIZI:2305] {2}HADEES SHARIF: GUNAAH kam karo TUMHAARE LIYE MAUT AASAAN ho jaayegi [SHOABUL IMAAN:5314] {3}HADEES SHARIF: APANI JAWAANI ki QADR karo BUDHAAPA AANE se PEHLE.[MUSTADRAK:7846] {4}HADEES SHARIF: GAANA BAJANA AADMI ke IMAAN ko KAMZOR kar deta hai [SHOABUL IMAAN] {5}HADEES SHARIF: TUM HAATH mein MAT GUDWAAO (TATOO) aur NAA hi KISI ko GODNE ke liye kaho [KANZUL UMMAL:45061] {6}HADEES SHARIF: TUM mein kuch log aise hone chahiye JO ACHCHE KAAM karne ka HUQM karein aur BURAAI se ROKEIN.[SURAE ALE IMRAAN] {7}HADEES SHARIF: LOGON ke SAATH unke DARJE aur MARTABE ke LIHAAZ se MAAMLA karo. [SHOABUL IMAAN:10561]