Roza Dozakh Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai


Roza Dozakh Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai … » Hadees : Aaqa Sarvare-Do-Aalam Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Roza Dozakh (Hell) Se Bachnee Ke Liye Ek Dhaal Hai Isliye (Jo Rozedar Ho) Wo Na Toh Biwi Se Humbistari Kare Aur Na Fahash (Buri) Aur Jahalat Ki Batein Kare Aur Agar Koi Shaksh Uss Se Ladey Ya Usey Gaali De Toh Uske Jawab Me Sirf Ye Kehna Chaahiye Ki Mai Rozedar Hun, Do (2) Baar (Kahe).
Uss Zaat Ki Kasam Jiskey Haath Me Meri Jaan Hai Rozedar Ke Munh Ki Bu Allah Ke Nazdeek Mushk Ki Khushbu Se Bhi Zyada Pasandeeda Aur Pakeeza Hai.
(Allah Farmata Hai) Banda Apna Khana Peena Aur Apni Shahwat Meri Liye Chorrta Hai, Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Iska Badla Dunga Aur Nekiyon Ka Sawab Bhi Asal Neki Ke 10 Gunaa Hota Hai” (Dusri Hadeeso Me 70 Guna Bhi Aya Hai). -: (Sahih Bukhari, Vol 3, 1894)
» Sabak : Roze Ki Fazilat Beshumar Hai, Lihaja Tamam Imanwalo Par Lazim Hai ke Wo Buri Aadato Se Apne Rozo Ki Hifazat Kare, Aur Rabbe Ta’ala Ki Khushnudi Ke Saath Ramzan-Ul-Mubarak Ke Roze Ke Faraiz Par Amal Kare.

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY