MIYAAN BIWI KE HUQOOQ

MARD PAR NIKKAH ke baad AURAAT ke HUQOOQ ki ADAAYEGI LAAZIM ho jaati hai kiagar wah usamein kotaahi bartata hai to islaami nukte nazar se AZAABE ILAAHI ka SAAZAWAR hoga aur JAHANNAM ke AZAAB ka MUSTAHIK hoga.

AURATON ka HAQ MARDON par aisaa hi hai jaisaa AURATON par hai.
[SURAE BAQRAH:228]

MARD ke liye ZAROORI hai ki BIMAARI mei uskaa ILAAJ KARAAYE kabhi kabhi usko MAAYAKE WAALON se MILAATA rahe.SAYYADANA ABDULLAH BIN ABBAS RADIYALLAHU TALA ANHU FARMAATE hai ki mai APANI BIWI ko RAAZI karane ke liye ACHHA LIBAAS PAHNATA HU ki JAB MAILE KAPADE mein wah mujhe BURI MAALUM hoti hai to mai use KAB ACHHA MAALUM HOONGA.

HADEES SHARIF mein hai ki AGAR TUM QAYAAMAT mein MUJHASE KURB CHAAHATE ho to APANI BIWIYON ko RAAZI RAKHO,BALKI USKI KHUSHNUDI ke liye usake MAAYAKE WAALON balki usaki SAHELIYON se bhi SULUK karo.

RASOOLE MAQBOOL SALLALAHU ALAIHI WA SALAM ne farmaya TUM MEIN sabse behtar wah hai jo APANI BIWI ke liye BEHTAR ho aur mai APANI BIWI ke liye TUM mein SABSE BEHTAR hu.
[KIMIYAAE S'AADAT:262]

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY