RASOOLE PAAK KI KHURAAK -2


BAKARE KA GOSHT:-HUZUR NABI-E-KARIM SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM NE GOSHT KO PASAND FARMAYA HAI aur ZYAADATAR MAUKO PAR ISE istemaal bhi kiya kaha jaata hai ki AAP SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM SHORABE WAALA GOSHT aur BHUNAA GOSHT SHAUK se TANAAWUL FARMAAYA KARTE the.isliye GOSHT KA ISTEMAAL HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ki SUNNAT hai.
[ADABE SUNNAT]

HAZRAT ABDULLAH BIN JAAPHER RADIYAALAHU TALA ANHUMA FARMATE hai maine HUZUR NABI-E-KARIM SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM KO FARMAATE HUE SUNAA hai BESHAK PEETH ka GOSHT BAHUT ACHCHHA HOTA HAI.
[TIRMIZI SHARIF, ADAABE SUNNAT]

HAZRAT ABDULLAH BIN HAARUSH RADIYAALAHU TALA ANHU FARMAATE hai hamane HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ke HAMRAAH MASJID mein BHUNAA HUA GOSHT KHAAYA.
[TIRMIZI SHARIF]

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY