sdi

Thursday, May 13, 2010

RASOOLE PAAK KI KHURAAK -3


MURG KA GOSHT:-HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne MURG ka GOSHT bhi TANAAWUL FARMAYA hai isliye DESI MURG ke GOSHT ko bhi TANAAWUL FARMAANA HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ki SUNNAT hai.
[ADAABE SUNNAT]

HADEES SHARIF:-HAZRAT ABU MUSA RADIYALLAHU TALA ANHU FARMAYA ki MAINE RASOOLULLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ko MURG ka GOSHT KHAATE DEKHAA.
[BUKHARI SHARIF]

HUBAARA KA GOSHT:-HUBAARA EK PARINDA hota hai jo ARAB DESO mein PAYA JATA hai HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ke DAUR me iska GOSHT KHAAYA JATA tha isliye HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne bhi HUBAARA ka GOSHT khaaya AUR YE HALAAL PARINDA hai.
[ADAABE SUNNAT]

HADEES SHARIF:-HAZRAT SAFINA RADIYYALAHU TALA ANHU se RIVAYAT karte hai unhone farmaya maine HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM KE SAATH HUBAARA {CHAKOR} ka GOSHT KHAAYA.
[TIRMIZI SHARIF]