Etikaaf Ki Tareef ……


Etikaaf Ki Tareef …… Ibadat Ki Niyat Se Allah Ke Liye Masjid Me Thehrne Ka Naam ‘Etkaf’ Hai. Etekaf Ki 3 Kisme: (1)Etkaf-e-Wajib. (2)Etkaf-e-Sunnat. (3)Etkaf-e-Mustahab.
» Ramzan me Etkaf : Ramzan Ke 21 We Roze Se Shawwal Ka Chand Dikhne Tak Allah Ke Lye Masjid Me Thaherna Etekaf Kehlata Hai.
» Etkaf: Masjid Ke Andar Dakhil Ho Toh Etekaf Ki Niyat Kare Jitni Der tak Masjid Me Rahega Etkaf Ka Sawab Payega. - (Fatawa-e-Aalmgiri, Jild:1 Safa:197).
Etkaf Ki Niyat: Nawaytu Sunnatul Etkaf.
» Jis Shaks Ne Imaan Ke Sath Sawab Hasil Karne Ki Niyyat Se Etkaf Kiya Uske Pichle Gunah Baksh Diye Jayenge. - (Jame Sageer)
» Hadees : Huzoor (Sallallahu Alaiyhi Wasallam) Ne Farmaya:
“Itekaaf Karnewala Gunaho Se Mahfooz Ho Jata Hai”. - (Mishkaat-Ul-Masabeeh-Zujajat Ul Masabeeh)
» Mas’ala : Etekaf Wala Agar Bagair Uzr Ke Masjid Se Nikla Agarche Bhool Se Nikle To Etekaf Toot Gaya.
» Mas’ala : Etekaf Wala Masjid Me Hi Khaye Piye Soye Agar In Kaamo Ke Liye Bahar Gaya To Etekaf Toot Gaya.
» Mas’ala : Etekaf Mard Aurat Balig Aur Na Balig Sab Kar Sakte Hain. Aurat Ghar Ke Uss Hisse Me Etekaf Kare Jahan Namaze Padhti Ho.
» Hadees : Jisne Ramzan Me 10-Dino Ka Etekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2-Hajj Aur 2-Umre Kiye. - (Shuabul Iman Jild-3, Page No-425, Hadis No-2966)
» Hadees : Ramzan Ke Aakhri Ashre (20 Roze Ki Sham Se Chand Dikhne Tak) Me Huzoor Etekaf Farmaya Karte The. - (‎Sahi‬ Muslim Safa-597,Hadis No-117)
» Hadees : Jo Etekaf Kare Roza Rakhe Jur Etekaf Jamat Wali Masjid (Jisme Jamat Se Namaz Hoti Ho) Mein Etikaf Kare. ‪- (Sunane‬ Abi Dawood Hadees No-2472)
» Hadees : Etekaf Karne Wala Na Mareez Ko Dekhne Jaye Na Janaza Me Hazir Ho Na Aurat Ko Haat Lagaye. - (Sunane Abi Dawood Jild-2, Page-492) » Islami Bahne Apne Ghar Me Namaz Ada Krti Ho Vahaa Etikaf Kare. - (Durre Mukhtar)
» Haiz(Maahwaari) Aur Nifaas Se Paak Hona Zaruri Hai. - (Durre Mukhtaar, Raddul Muhtaar, Jild-3 , Page No-429)
» Etikaf Wale Inn Se Bache :
“Fuzul Waqt Bitana, Ziyada Sona, Bila Zarurat Duniya Ki Baate Karna, Masjid Me Hasna”.
» Etikaf Wale Itna Zarur Kare : “Khub Nek Niyyate, Masjid Ka Ehtram, Taaq Raato Me Ibadat”
!! Allah Ta’ala Tamam Imanwalo Ko In Sabhi Bato Ko Samajhne Aur Inn Par Amal Karne Ki Toufiq Ataa Farmaye! Aameen….

Popular posts from this blog

DUA-E-ASHURA

IMAM AHMED RAZA AS THE MUJADDID OF THE 14TH CENTURY